badal do takdir ki tasweer
nayan kab tak rahe adheer,us sopan ko
ruk gaya hai ye pathik bas paane us samman ko
kehte hain jivan ka yahi aarth hai
kar lo yah tapasya varna jeena vyartha hai
pukaro dil se usko wo milega teri har aawaj ki dhaar par
rukna bhi nahi hai chalte rehna hai,kisi bhi haar par
ruka jo haar jaunga,badha to baaji maar jaonga
usi pal ka sahara hai,usi pal ne sanwara hai
milne chala hun aaj us anjan ko
jise apne aap par itna gurur hai,
jo aankhe munde ab nashe me choor hai
Sahar se door jaakar dekh mera gaon padta hai
waha par roshni ke hasiye se noor bahta hai
waqt ke saath to chalna sikha hai,magar badalna nahi sikha
wahi meethi si amiya hai,wahi par mirch hai teekha
meri koshish yahi, agar badal saka apni takdeer
koshish karunga badal sakun apne gaon ki tasweer